KHwab-o-KHayal-e-gul se kidhar jae aadmi
ek gulshan-e-hawa hai jidhar jae aadmi
dekhe hue se lagte hain raste makan makin
jis shahr mein bhaTak ke jidhar jae aadmi
dekhe hain wo nagar ki abhi tak hun KHauf mein
wo suraten mili hain ki Dar jae aadmi
ye bahr-e-hast-o-bud hai be-gauhar-e-murad
gahraiyon mein us ki agar jae aadmi
parde mein rang-o-bu ke safar-dar-safar 'munir'
in manzilon se kaise guzar jae aadmi
Ghazal
KHwab-oi-KHayal-e-gul se kidhar jae aadmi
Muneer Niyazi