KHwab-o-KHayal ho gae yarane kis tarah
pal-bhar mein log ban gae anjaane kis tarah
kyun kar KHulus-o-shauq mein badlengi nafraten
ye fasle miTenge KHuda-jaane kis tarah
bolo zaban se tum na koi guftugu karo
dil ka tumhaare haal koi jaane kis tarah
main kiya ki ek chehra hun jamm-e-ghafir mein
wo mujh ko is hujum mein pahchane kis tarah
majnun to ek nam tha gard-o-ghubar ka
dil mein basa liya use laila ne kis tarah
KHud apne hi wajud se wahshat-zada hain log
aabaadiyon mein aa gae virane kis tarah
iqbaal tum ne jo bhi kaha sach kaha magar
sach baat bhi tumhaari koi mane kis tarah

Ghazal
KHwab-o-KHayal ho gae yarane kis tarah
Iqbal Haidri