اردو हिंदी
KHwab ne rakh liya fasane mein | Shaahi Shayari
KHwab ne rakh liya fasane mein

Ghazal

KHwab ne rakh liya fasane mein

Ishaq Veerdag

;

KHwab ne rakh liya fasane mein
tum ne taKHir ki jagane mein

is zamin ko falak banane mein
main bhi shamil tha ek zamane mein

tere kirdar ko uThane mein
mujh ko marna paDa fasane mein

kaam karte hain roz-o-shab sahab
hum mohabbat ke kar-KHane mein

baam-o-dar dushmanon ke sathi the
mujh ko diwar se lagane mein

ishq mein thoDi si suhulat thi
hazrat-e-qais ke zamane mein

din-o-duniya se jaana paDta hai
dil ko diwangi banane mein

waqt hi har taraf rukawaT hai
la-makan se makan banane mein

aag ke darmiyan baiThe hain
qissa-KHwani ke chae-KHane mein

maktab-e-ishq mein sabaq paDhne
log aaenge har zamane mein