اردو हिंदी
KHwab nahin hai sannaTa hai lekin hai tabir bahut | Shaahi Shayari
KHwab nahin hai sannaTa hai lekin hai tabir bahut

Ghazal

KHwab nahin hai sannaTa hai lekin hai tabir bahut

Qamar Siddiqi

;

KHwab nahin hai sannaTa hai lekin hai tabir bahut
sachchi baaten kam kam hain aur jhuT ki hai tashhir bahut

kya kya chehre hain aankhon mein shaklen kya kya zehn mein hain
yaaden goya album hain aur album mein taswir bahut

qissa hai bas do-pal ka ye milne aur bichhaDne ka
karne wale ishq ki yun to karte hain tafsir bahut

hum to sahab-e-ahl-e-junun hain duniya khel-tamasha hai
ahl-e-KHirad ki KHatir hogi duniya ki zanjir bahut

sari shaklen dhundli dhundli mubham sa hai manzar bhi
KHwab ki kachchi buniyaadon par karni hai tamir bahut

qissa ye mahdud na tha kuchh honTon ki KHamoshi tak
kahne ko to kahti thi un aankhon ki tahrir bahut