KHwab mein teri shakl samo nahin sakta main
isi liye to shayad so nahin sakta main
main to apne aansuon se sharminda hun
teri aankh ke aansu ro nahin sakta main
hadd-e-nazar tak ret hi ret hai aankhon mein
ab is ret mein phul to bo nahin sakta main
main bhi tere jaisa hona chahta hun
lekin ab dariya to ho nahin sakta main
dil par teri chup se lagne wala dagh
aisa dagh hai jis ko dho nahin sakta main
Ghazal
KHwab mein teri shakl samo nahin sakta main
Naved Raza