KHwab mein nur barasne ka saman hota hai
aankh khulti hai to kamre mein dhuan hota hai
dhup aisi dar-o-diwar pe Thahri aa kar
ghar pe aaseb ke sae ka guman hota hai
KHwab mein ja ke use dekh to aaun lekin
ab wo aankhon ke darichon mein kahan hota hai
din ko hoti hai jo logon ke guzarne ki jagah
sham ke baad wahan mera makan hota hai
KHauf an-jaana koi pichhe paDa hai aise
jis jagah jata hun kam-baKHt wahan hota hai
yun mere aage ubhar aata hai wo shaKHs 'hasan'
mere andar hi kahin jaise nihan hota hai
Ghazal
KHwab mein nur barasne ka saman hota hai
Hasan Abbasi