KHwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat
phaD khaen tere darban sag-e-dar ki surat
aisi bigDe na ilahi kisi ghar ki surat
wahi diwar ki surat hai jo dar ki surat
par-shikasta hun tah-e-shaKH paDa rahne de
baghban tu mujhe TuTe hue par ki surat
chhuTta hi nahin ab arsh-e-KHuda baam-e-butan
dekh li hai kahin nalon ne asar ki surat
ghere rahta hai bagula mujhe ab ek na ek
ki hai paida mere sahra ne bhi ghar ki surat
jaan jae ki rahe aap ke aate aate
aur se aur hai ab dard-e-jigar ki surat
pani ho jate hain aansu mere moti ban kar
warna achchhi to na thi un se guhar ki surat
kucha-e-zulf mein jate hue dil Darta hai
har qadam par hai nai KHauf-o-KHatar ki surat
kabhi phula na phula naKHl-e-tamanna afsos
phul ki shakl na dekhi na samar ki surat
ghair ki qabr hai gulshan hai na daman un ka
mujh se dekhi nahin jati gul-e-tar ki surat
chaaragar aate hain to aankh chura jate hain
aisi bigDi hai mere zaKHm-e-jigar ki surat
aashiyane ko chale bagh mein muddat guzri
phirti hai aankh mein kyun barq-o-sharar ki surat
ghar se be-fikr main sahra mein phira karta hun
meri aankhon mein phira karti hai ghar ki surat
qais bhaTka tha ki sahra mein 'riyaz' aae nazar
rahnuma us ke bane aap KHizar ki surat
Ghazal
KHwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat
Riyaz Khairabadi