KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna
aankh kya lagna ki ek sauda-e-sar ka jagna
agle din kya hone wala tha ki ab tak yaad hai
intizar-e-subh mein wo sare ghar ka jagna
bastiyon se shab-nawardon ka chala jaana magar
raat bhar ab bhi charagh-e-rahguzar ka jagna
aaKHiri ummid ka mahtab jal bujhne ke baad
mera so jaana mere diwar-o-dar ka jagna
phir hawaon se kisi imkan ki milna nawed
phir lahu mein aarzu-e-taza-tar ka jagna
ek din us lams ke asrar khulna jism par
ek shab is KHak mein barq-o-sharar ka jagna
is ka harf-e-muKHtasar bedariyon ka silsila
lafz mein mani ka, mani mein asar ka jagna
be-nawa patte bhi aayat-e-numu paDhte hue
tum ne dekha hai kabhi shaKH-e-shajar ka jagna
yak-ba-yak har raushni ka Dub jaana aur phir
aasman par ek tilsm-e-sim-o-zar ka jagna
Ghazal
KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna
Irfan Siddiqi