اردو हिंदी
KHwab mein aao mere rangin KHwabon ki tarah | Shaahi Shayari
KHwab mein aao mere rangin KHwabon ki tarah

Ghazal

KHwab mein aao mere rangin KHwabon ki tarah

Aasi Ramnagri

;

KHwab mein aao mere rangin KHwabon ki tarah
paDh sakun tum ko main rumani kitabon ki tarah

dijiye tashbih kya un ko mah-o-KHurshid se
ek chehra un ka hai sau aaftabon ki tarah

chahe gar insan to ban sakti hai la-fani hayat
zindagi insan ki go hai hababon ki tarah

jaise mahfum-o-maani se hon aari sare hi
paDhta hun ek ek chehre ko kitabon ki tarah

tishnagi sab ki bujhaen bahr-e-be-payan banen
ban ke duniya mein rahen hum kyun sarabon ki tarah