KHwab-mahal mein kaun sar-e-sham aa kar patthar marta hai
roz ek taza kanch ka bartan hath se gir kar TuTta hai
makDi ne darwaze pe jale dur talak bun rakkhe hain
phir bhi koi guzre dinon ki oT se andar jhankta hai
shor sa uThta rahta hai diwaren bolti rahti hain
sham abhi tak aa nahin pati koi khilaune toDta hai
awwal-e-shab ki lori bhi kab kaam kisi ke aati hai
dil wo bacha apni sada par kachchi nind se jagta hai
andar bahar ki aawazen ek nuqte par simTi hain
hota hai galiyon mein wawela mera lahu jab bolta hai
meri sanson ki larzish manzar ka hissa banti hai
dekhta hun main khiDki se jab shaKH pe patta kanpta hai
mere sirhane koi baiTha Dhaaras deta rahta hai
nabz pe hath bhi rakhta hai TuTe dhage bhi joDta hai
baadal uThe ya ki na uThe barish bhi ho ya ki na ho
main jab bhigne lagta hun wo sar par chhatri tanta hai
waqt guzarne ke ham-rah bahut kuchh sikha 'aKHtar' ne
nange badan ko kirnon ke pairahan se ab Dhanpta hai
Ghazal
KHwab-mahal mein kaun sar-e-sham aa kar patthar marta hai
Akhtar Hoshiyarpuri