KHwab kya hai ki TuTta hi nahin
ek nasha hai ki TuTta hi nahin
is ne kya kya sitam na toDe hain
dil mera hai ki TuTta hi nahin
TuTta ja raha hai ek ek KHwab
silsila hai ki TuTta hi nahin
rishte nate tamam TuT gae
sar-phira hai ki TuTta hi nahin
pau phaTi ang ang TuTta hai
aur nasha hai ki TuTta hi nahin
lahren aa aa ke TuT jati hain
ek ghaDa hai ki TuTta hi nahin
dil ke dariya mein kaisa sang gira
daera hai ki TuTta hi nahin
naw TuTi do-nim hai patwar
hausla hai ki TuTta hi nahin
dhaga kachcha sahi magar 'arshad'
yun bandha hai ki TuTta hi nahin
Ghazal
KHwab kya hai ki TuTta hi nahin
Arshad Jamal Hashmi