KHwab ki basti mein afsane ka ghar
shama ki lau par hai parwane ka ghar
ban gae aaKHir harif-e-baal-o-par
dam ki diwar aur dane ka ghar
aap bhi sang-e-taqqul phenkiye
aaina-KHana hai diwane ka ghar
main junun-e-ishq aur sahra-e-gham
tu adu ki bazm begane ka ghar
aql-o-danish ilm-o-irfan fikr-o-hosh
kin hisaron mein hai farzane ka ghar
ho gae gumrah kuchh meri tarah
DhunDte hain shaiKH paimane ka ghar
qismat-e-'tarzi' yahi jagir thi
shahr-e-gham kahiye ki virane ka ghar

Ghazal
KHwab ki basti mein afsane ka ghar
Abdul Mannan Tarzi