KHwab khulna hai jo aankhon pe wo kab khulta hai
phir bhi kahiye ki bas ab khulta hai ab khulta hai
bab-e-ruKHsat se guzarta hun so hoti hai shanaKHt
jis qadar dosh pe saman hai sab khulta hai
ye andhera hai aur aise hi nahin khulta ye
der tak raushni ki jati hai tab khulta hai
meri aawaz pe khulta tha jo dar pahle-pahal
main pareshan hun ki KHamoshi pe ab khulta hai
ek makan ki baDi tashwish hai rahgiron ko
wo jo barson mein nahin khulta to kab khulta hai
ab khula hai ki charaghon ko yahan rakkha jae
ye wo ruKH hai jahan darwaza-e-shab khulta hai
us ne khulne ki yahi shart rakhi ho jaise
mujh mein girhen si laga jata hai jab khulta hai
Ghazal
KHwab khulna hai jo aankhon pe wo kab khulta hai
Shaheen Abbas

