KHwab kahan se TuTa hai tabir se puchhte hain
qaidi sab kuchh bhul gaya zanjir se puchhte hain
jam-e-jam laya hai ghar ghar duniya ke haalat
dil ki baaten hum teri taswir se puchhte hain
duniya kab karwaT badlegi kab jagenge shahr
kaisi baaten soe hue zamir se puchhte hain
hum se na puchho kis jazbe ne tumhein kiya nakaam
baadshah aisi baaten apne wazir se puchhte hain
ahd se kaun mukar jaega taron ko kya ilm
likkhi nahin jo tu ne us tahrir se puchhte hain
'qasir' ne to dekha hai ab tak faqon ka raqs
jauhri taqat kya hai jauhar-e-'mir' se puchhte hain
Ghazal
KHwab kahan se TuTa hai tabir se puchhte hain
Ghulam Mohammad Qasir