KHwab ka rishta haqiqat se na joDa jae
aaina hai ise patthar se na toDa jae
ab bhi bhar sakte hain mai-KHane ke sab jam-o-subu
mera bhiga hua daman jo nichoDa jae
har qadam marhala-e-marg-e-tamanna hai magar
zindagi phir bhi tera sath na chhoDa jae
aao phir aaj kureden dil-e-afsurda ki rakh
aao soi hui yaadon ko jhinjhoDa jae
ho wo tauba ke ho saghar ke ho paiman-e-wafa
kuchh na kuchh aaj to mai-KHane mein toDa jae
zulf o ruKH aaj bhi unwan-e-ghazal hain 'manzur'
ruKH udhar gardish-e-ayyam ka moDa jae
Ghazal
KHwab ka rishta haqiqat se na joDa jae
Malikzada Manzoor Ahmad