KHwab ka chehra pila paDte dekha hai
ek tabir ko suli chaDhte dekha hai
ek taswir jo aaine mein dekhi thi
us ka ek ek naqsh bigaDte dekha hai
subh se le kar sham talak un aankhon ne
apne hi sae ko baDhte dekha hai
us se haal chhupana to hai na-mumkin
hum ne us ko aankhen paDhte dekha hai
ashk-e-rawan rakhna hi achchha hai warna
talabon ka pani saDte dekha hai
ek ummid ko hum ne akasr KHalwat mein
ek adhuri murat gaDhte dekha hai
dil mein koi hai jis ko akasr hum ne
har ilzam hamin par maDhte dekha hai
Ghazal
KHwab ka chehra pila paDte dekha hai
Manish Shukla