KHwab jo achchhe bure the
mere andar pal rahe the
ek chuppi tum ne chahi
main ne apne lab siye the
aazmaish waqt ne ki
sab yaqin TuTe paDe the
umr bhar chal kar na pahunche
jaane kaise marhale the
nind aankhon se juda thi
KHwab mein bhi ratjage the
din mahine sal guzre
yun to hum kal hi mile the
lafz the bahen pasare
aur ghazal ko kuchh gile the
thi purani film duniya
chehre sab dekhe sune the
faslon ka Dar kise tha
panw par raste likhe the
us ne barta tha takalluf
mere bhi kuchh masale the
chand taron ki jagah par
abr par jugnun Tange the
Ghazal
KHwab jo achchhe bure the
Puja Bhatia