KHwab jaisi hi koi apni kahani hoti
yun to barbaad na ye apni jawani hoti
tere aane se chahak uThta ye virana-e-dil
phir se aabaad wahi rawish purani hoti
rabta rakha na diya ja-e-sukunat ka pata
is tarah bhi hai koi naql-e-makani hoti
ab mere pas nahin koi bhi rone ka jawaz
hijr mausam ki sahi ashk fishani hoti
yaad karne ka tujhe koi bahana bhi nahin
koi chhalla koi chauDi hi nishani hoti
ab tere hijr se manus tabiat hai meri
pahle wali si nahin jaan pe girani hoti
naKHl-e-jaan pe jo barasta tera baadal 'mariyam'
kuchh to kam badan ki ye tishna-dahani hoti
Ghazal
KHwab jaisi hi koi apni kahani hoti
Maryam Naz