KHwab hi mein ruKH-e-pur-nur dikhae koi
gham mein rahat ka bhi pahlu nazar aae koi
samne us ke dil o jaan o jigar main rakh dun
han magar hath mein KHanjar to uThae koi
apne hi ghar mein mila DhunD rahe the jis ko
us ke pane ke liye KHud hi ko pae koi
aa gai kali ghaTa jhum ke mai-KHane par
tauba kahti hai ki mujh ko bhi pilae koi
jab nazar aata hai wo jaan-e-tamanna dil mein
kis tamanna ko liye tur pe jae koi
zindagi kya hai faqat maut ka jam-e-rangin
hast hona hai to hasti ko miTae koi
husn hai mahz jafa ishq hai taswir-e-wafa
rabt ka kuchh to sabab mujh ko batae koi
jazba-e-shauq use khinch ke laega yahan
aa nahin sakta to sau bar na aae koi
dil mein yun parda-nashin rahne se hasil kya hai
lutf to jab hai 'ratan' samne aae koi
Ghazal
KHwab hi mein ruKH-e-pur-nur dikhae koi
Ratan Pandorwi