KHwab-e-gul-rang ke anjam pe rona aaya
aamad-e-subh-e-shab-e-andam pe rona aaya
dil ka mafhum ishaaron se ujagar na hua
be-kasi-e-gila-e-KHam pe rona aaya
kabhi ulfat si jhalakti hai kabhi nafrat si
ai talluq tere ibham pe rona aaya
meri KHushiyan kabhi jis nam se wabasta thin
jaane kyun aaj usi nam pe rona aaya
le ke ubhregi sahar phir wahi pazhmurda kiran
kya kahun tirgi-e-sham pe rona aaya
be-sabab apni nigahon se gira jata hun
is fusun-kari-e-ilzam pe rona aaya
itne arzan to nahin the mere ashkon ke guhar
aaj kyun talKHi-e-alam pe rona aaya
layaq-e-husn-e-nazar the na kabhi un ke KHutut
aaj mahrumi-e-paigham pe rona aaya
ab bhi manzil mere qadmon ki tamannai hai
kya kahun hasrat-e-yak-gam pe rona aaya
rone wala to karega na kisi ka shikwa
lakh kahiye gham-e-ayyam pe rona aaya
un ke shubhat mein kuchh aur izafa tha 'shakeb'
ashk-e-sada ke is inam pe rona aaya

Ghazal
KHwab-e-gul-rang ke anjam pe rona aaya
Shakeb Jalali