KHwab dekhne wali aankhen patthar hongi tab sochenge
sundar komal dhyan titliyan be-par hongi tab sochenge
ras barsane wale baadal aur taraf kyun uD jate hain
hari-bhari shadab khetiyan banjar hongi tab sochenge
basti ki diwar pe kis ne an-honi baaten likh di hain
is anjaane Dar ki baaten ghar ghar hongi tab sochenge
mange ke phulon se kab tak rup-sarup ka man baDhega
apne aangan ki mahkaren be-ghar hongi tab sochenge
biti rut ki sab pahchanen bhul gae to phir kya hoga
gae dinon ki yaaden jab be-manzar hongi tab sochenge
aane wale kal ka swagat kaise hoga kaun karega
jalte hue suraj ki kirnen sar par hongi tab sochenge
Ghazal
KHwab dekhne wali aankhen patthar hongi tab sochenge
Iftikhar Arif