KHwab dekhe the suhane kitne
jag uThe dard purane kitne
ek jalwe ki farawani se
ban gae aaina-KHane kitne
chaal se haal ki late hain KHabar
log hote hain siyane kitne
bujh kar bhi na bataun tujh ko
teri muTThi mein hain dane kitne
be-irada jo hue ashk-e-rawan
luT gae gham ke KHazane kitne
tum zara ruTh ke dekho to sahi
log aate hain manane kitne
hum ne sirf ek tabassum ke liye
zaKHm khae hain na jaane kitne
Dub marne ka nahin koi jawaz
zinda rahne ke bahane kitne
sard-mehri se teri mahfil mein
jal-bujhe log na jaane kitne
yaad-e-mazi se simaT aae hain
ek lamhe mein zamane kitne
ek nazar dekha tha us ne 'sahir'
gaDh liye dil ne fasane kitne

Ghazal
KHwab dekhe the suhane kitne
Sahir Hoshiyarpuri