KHwab aur KHwab ka fusun nahin kuchh
aankh khul jae to junun nahin kuchh
husn kahta hai baat kar mujh se
ishq kahta hai main kahun nahin kuchh
aur kuchh chahiye mohabbat mein
haalat-e-haal-e-dil zubun nahin kuchh
raegan ja rahe hain naqsh mere
aaina-KHana hi fuzun nahin kuchh
tu bahut ehtiyat karta tha
tere hathon mein aaj kyun nahin kuchh
aasman yun bhi hum pe girta hai
saqf to chhoDiye sutun nahin kuchh
us ne mathe pe honT rakh ke kaha
aaj ye zaKHm nilgun nahin kuchh
lauT aati hai wo nazar KHali
kya meri zat ke darun nahin kuchh
kaam sar par paDe rahen 'azhar'
aur main baiTha rahun karun nahin kuchh
Ghazal
KHwab aur KHwab ka fusun nahin kuchh
Mahmood Azhar