KHwab aisa bhi nazar aaya hai akasr mujh ko
laga jibril ka shahpar mera bistar mujh ko
apne maqsad ke liye lafz bana kar mujh ko
koi dauData hai kaghaz ki saDak par mujh ko
Das na le dekho kahin dhup ka manzar mujh ko
tum ne bheja to hai bal khati saDak par mujh ko
sab ko main un ki kitabon mein nazar aata hun
log paDhte hain tere shahr mein ghar ghar mujh ko
kyun na ghabraun ki tanha hun ghana hai jangal
dur se dekhe hai sannaTe ka lashkar mujh ko
kyun na sahra ko nichoDun ki meri pyas bujhe
dega ek qatra na kanjus samundar mujh ko
nind jab tak thi meri aankhon mein mahfuz tha main
qatl lamhon ne kiya KHwab se bahar mujh ko
meri aankhon ke dahakte hue shole pa na ja
sard kitna hun samajh hath se chhu kar mujh ko
wo pighalta hai ki 'shaariq' mera tan jalta hai
dekhe rakh kar koi suraj ke barabar mujh ko
Ghazal
KHwab aisa bhi nazar aaya hai akasr mujhko
Shariq Jamal