KHwab aankhon mein nihan hai ab bhi
bujh gai aag dhuan hai ab bhi
wo mere pas nahin hai lekin
us ke hone ka guman hai ab bhi
kya bahadur koi aaya hi nahin
rah mein sang-e-giran hai ab bhi
koi pyasa hi nahin hai warna
chashma-e-shauq rawan hai ab bhi
ghar ko kandhe pe liye phirta hun
mujh mein ye tab-o-tawan hai ab bhi
main talluq se pare hun lekin
mujh se wabasta jahan hai ab bhi
Ghazal
KHwab aankhon mein nihan hai ab bhi
Ehtisham Akhtar