KHwab aankhon mein nahin dil mein tamanna bhi nahin
ishq mayus hua ho magar aisa bhi nahin
un ki ulfat mein uThae hain hazaron ilzam
aaj tak aankh uTha kar jinhen dekha bhi nahin
rah-e-hasti mein nigahen to bhaTak sakti hain
dil bhaTak jae magar itna andhera bhi nahin
baDh ke aae the kai gham pae taskin lekin
gham-e-dauran ke muqabil koi Thahra bhi nahin
sharam ai baada-gusaron ki bhari mahfil mein
baDh ke KHud jam uTha le koi aisa bhi nahin
kya tamasha hai ki aae hain tasalli dene
wo jinhen dard-shanasi ka saliqa bhi nahin
har nazar sath-e-tabassum pe Thahar jati hai
kya zamane mein koi gham ka shanasa bhi nahin
lakh nazuk sahi ummid ka rishta lekin
dil ko ehsas ki tauhin gawara bhi nahin
zindagi ko nae KHwabon se saja kar lao
ye tabassum to mere gham ka mudawa bhi nahin
hadse ho chuke 'arshad' gham-e-ulfat ke tamam
ab to shayad dil-e-mayus taDapta bhi nahin
Ghazal
KHwab aankhon mein nahin dil mein tamanna bhi nahin
Arshad Siddiqui