KHunin gulab sabz sanobar hai samne
aankhon mein qaid karne ka manzar hai samne
fauj-e-siyah chaaron taraf mahw-e-gasht hai
KHanjar barahna raat ka lashkar hai samne
wo sans le raha hai magar zindagi kahan
shishe mein band lakh ka paikar hai samne
itra ke chal shuur ki Thokar bhi kha ke dekh
be-lams aagahi ka wo patthar hai samne
fitrat pe ye bhi tanz hai shayad 'shakeb-ayaz'
pyasi hai ret aur samundar hai samne
Ghazal
KHunin gulab sabz sanobar hai samne
Shakeb Ayaz