KHun thukegi zindagi kab tak
yaad aaegi ab teri kab tak
jaane walon se puchhna ye saba
rahe aabaad dil-gali kab tak
ho kabhi to sharab-e-wasl nasib
piye jaun main KHun hi kab tak
dil ne jo umr-bhar kamai hai
wo dukhan dil se jaegi kab tak
jis mein tha soz-e-arzu us ka
shab-e-gham wo hawa chali kab tak
bani-adam ki zindagi hai azab
ye KHuda ko rulaegi kab tak
hadisa zindagi hai aadam ki
sath degi bhala KHushi kab tak
hai jahannum jo yaad ab us ki
wo bahisht-e-wajud thi kab tak
wo saba us ke bin jo aai thi
wo use puchhti rahi kab tak
mir-'jauni' zara bataen to
KHud mein Thahrenge aap hi kab tak
haal-e-sahn-e-wajud Thahrega
tera hangam-e-ruKHsati kab tak
Ghazal
KHun thukegi zindagi kab tak
Jaun Eliya