اردو हिंदी
KHun se jab jala diya ek diya bujha hua | Shaahi Shayari
KHun se jab jala diya ek diya bujha hua

Ghazal

KHun se jab jala diya ek diya bujha hua

Pirzada Qasim

;

KHun se jab jala diya ek diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua

apne to ahad-e-shauq ke marhale sab aziz the
hum ko visal sa laga ek diya bujha hua

ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai
ek diya jala hua ek diya bujha hua

shoala hawa-nazhad tha phir bhi hawa ke hath ne
bas yahi faisla likha ek diya bujha hua

mahfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yaad aa gai
phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua

mujh ko nashat se fuzun rasm-e-wafa aziz hai
mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua

dard ki kaenat mein mujh se bhi raushni rahi
waise meri bisat kya ek diya bujha hua

sab meri raushni-e-jaan harf-e-suKHan mein Dhal gai
aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua