KHun oDhe hue har ghar ka sarapa nikla
aap ke shahr ka andaz nirala nikla
chhu ke ek shaKHs ko parkha to mulamma nikla
us ko main kaisa samajhta tha wo kaisa nikla
ruh viran mili rang parida nikla
us ko nazdik se dekha to zamana nikla
sach ke sahra mein unhen DhunD ke thak-haar gae
jhuT ke shahr mein yaron ka basera nikla
KHush ho ai dhup ke nezon se jhulasne walo
chand ke dosh pe suraj ka janaza nikla
jis se katra ke nikalte rahe barson sar-e-rah
us se kal hath milaya to wo apna nikla
kahin sahra mein bhi Das le na hamein sairabi
ret ke batn se phunkarta dariya nikla
narm-rau tha to sabhi rah se munh moD gae
sang uThaya to mere sath zamana nikla
wadiyan lafz o maani ki tah-e-ab huin
kin pahaDon se KHayalat ka jharna nikla
Ghazal
KHun oDhe hue har ghar ka sarapa nikla
Mazhar Imam