KHun ki har bund patthar ho chuki
zindagi KHatre se bahar ho chuki
aandhiyon ki zad pe ai reg-e-rawan
be-ghari tera muqaddar ho chuki
main nikal aaya hisar-e-jism se
sard jab shoalon ki chadar ho chuki
ehtiyaton se bhi kuchh hasil nahin
ab to ye miTTi bhi banjar ho chuki
saya-e-aks-e-nawa bhi miT gaya
dhup bhi muTThi barabar ho chuki
Ghazal
KHun ki har bund patthar ho chuki
Ahmad Razi Bachhrayuni