اردو हिंदी
KHun-girafta ho to KHanjar ka badan dukhta hai | Shaahi Shayari
KHun-girafta ho to KHanjar ka badan dukhta hai

Ghazal

KHun-girafta ho to KHanjar ka badan dukhta hai

Jamuna Parsad Rahi

;

KHun-girafta ho to KHanjar ka badan dukhta hai
panja-e-KHair mein hi shar ka badan dukhta hai

paikar-e-nim-shikasta hun karo tesha-zani
barish-e-gul se ye patthar ka badan dukhta hai

kaun hai tujh sa jo banTe meri din bhar ki thakan
muzmahil raat hai bistar ka badan dukhta hai

mustaqil shorish-e-tufan se ragen TuTti hain
zabt-e-paiham se samundar ka badan dukhta hai

zaKHm-KHurda dar o diwar ki haalat hai ajab
sirf aahaT se mere ghar ka badan dukhta hai

qimat-e-jaan ki tawaqqo kaf-e-qatil se kahan
KHun-baha ye hai ki KHanjar ka badan dukhta hai

dard maujon ki rifaqat ka baDa hai shayad
qurb-e-sahil se shanawar ka badan dukhta hai