KHun-e-ehsas ko maujon ki rawani samjhe
ashk-e-gul-rang the wo hum jinhen pani samjhe
kaun karta hai KHarabon mein dafinon ki talash
kis ko fursat hai jo zaKHmon ke maani samjhe
kaise miT jati hai aankhon se wafa ki tahrir
aaj uDte hue rangon ki zabani samjhe
jab bhi dekha hai use hum ne nae zaKHm mile
kaun us shaKHs ki taswir purani samjhe
aanch thi apne sulagte hue gham ki 'rashid'
log jis ko hunar-e-shola-bayani samjhe

Ghazal
KHun-e-ehsas ko maujon ki rawani samjhe
Mumtaz Rashid