اردو हिंदी
KHun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len | Shaahi Shayari
KHun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len

Ghazal

KHun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len

Satyapal Janbaz

;

KHun-e-dil se rah-e-hasti ko farozan kar len
mo'atabar aur bhi hum jashn-e-gulistan kar len

daur par daur chale jam ko raqsan kar len
doston aao ilaj-e-gham-e-dauran kar len

ek nae rang se tazin-e-gulistan kar len
lakh ho daur-e-KHizan jashn-e-bahaaran kar len

phir na chhaT jaen kahin ranj-o-mehan ke baadal
apni zulfon ko zara aap pareshan kar len

shama phir hasrat-o-arman ki raushan kar ke
chand lamhon ko sahi jashn-e-charaghan kar len

justuju aur nai bahr-e-husul-e-manzil
apni raftar su-e-KHar-e-mughilan kar len

gham-e-dauran ko ai 'jaanbaz' bhulane ke liye
aao maiKHane mein tafrih ka saman kar len