اردو हिंदी
KHun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main | Shaahi Shayari
KHun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main

Ghazal

KHun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main

Ahmad Mushtaq

;

KHun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main
KHali kaghaz par lakiren khinchta rahta hun main

aaj se mujh par mukammal ho gaya din-e-firaq
han tasawwur mein bhi ab tujh se juda rahta hun main

tu dayar-e-husn hai unchi rahe teri fasil
main hun darwaza mohabbat ka, khula rahta hun main

sham tak khinche liye phirte hain is duniya ke kaam
subh tak farsh-e-nadamat par paDa rahta hun main

han kabhi mujh par bhi ho jata hai mausam ka asar
han kisi din shaki-e-ab-o-hawa rahta hun main

ahl-e-duniya se talluq qata hota hi nahin
bhul jaane par bhi surat-ashna rahta hun main