KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai
hum ko ji khol ke rone ka maza milta hai
hum se is ishq-e-majazi ki haqiqat puchho
ke ye but jab nahin milte to KHuda milta hai
shauq se kar mujhe pamal magar ye to bata
KHak mein milne se mere tujhe kya milta hai
aaj tak hum ko to wo but na mila par na mila
kahte hain DhunDne wale ko KHuda milta hai
kund KHanjar ki shikayat main karun kyun 'natiq'
sach to ye hai ke mujhe yun hi maza milta hai
Ghazal
KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai
Natiq Lakhnavi