KHun-e-dil hota hai hone dijiye
ab rulaya hai to rone dijiye
kuchh to halka dil ko hone dijiye
ji bhara aata hai rone dijiye
aah dil se lab tak aa sakti nahin
dard hota hai to hone dijiye
aap ko apna banane mein hai aar
phir mujhe mera hi hone dijiye
kijiye kyun murda armanon se chheD
sone walon ko to sone dijiye
aap hansiye aap kyun lijiye asar
koi rota hai to rone dijiye
nala-kash 'manzar' se dawe nind ke
achchha achchha sham hone dijiye
Ghazal
KHun-e-dil hota hai hone dijiye
Manzar Lakhnavi