KHun aankhon se nikalta hi raha
karwan-e-ashk chalta hi raha
is kaf-e-pa par tere rang-e-hina
jin ne dekha hath malta hi raha
subh hote bujh gae sare charagh
dagh-e-dil ta sham jalta hi raha
kab hua bekar putla KHak ka
ye to sau qalib mein Dhalta hi raha
beh hue kab dagh mere jism ke
ye shajar har waqt phalta hi raha
kab thama aankhon se meri KHun-e-dil
josh kha kha kar ubalta hi raha
kya hua marham lagane se 'fughan'
zaKHm-e-dil sine mein salta hi raha
Ghazal
KHun aankhon se nikalta hi raha
Ashraf Ali Fughan