KHugar-e-jaur pe thoDi si jafa aur sahi
is qadar zulm pe mauquf hai kya aur sahi
KHauf ghammaz adalat ka KHatar dar ka Dar
hain jahan itne wahan KHauf-e-KHuda aur sahi
ahd-e-awwal ko bhi achchha hai jo pura kar do
tum wafadar ho thoDi si wafa aur sahi
jis ne hangama adalat ka teri dekha hai
us gunahgar ko ek roz-e-jaza aur sahi
kishwar-e-kufr mein kabe ko bhi shamil kar lo
sair-e-zulmat ko thoDi si faza aur sahi
bandagi mein teri sahte hi hain lu ki lapTen
chand din ke liye dozaKH ki hawa aur sahi
din o dil ja hi chuka jaan bhi jati hai to jae
tarkash-e-kufr mein ek tir-e-qaza aur sahi
rabb-e-izzat ke liye bhi koi rahne do KHitab
tum KHudawand hi kahlao KHuda aur sahi
hukm-e-hakim na sahi marg-e-mufajat se kam
malik-ul-mulk pe iman ki saza aur sahi
hum wafa-keshon ka iman bhi hai parwana-sifat
sham-e-mahfil jo wo kafir na raha aur sahi
Ghazal
KHugar-e-jaur pe thoDi si jafa aur sahi
Mohammad Ali Jauhar