KHub-ruyan-e-jahan chand ki tanwiren hain
putliyan aankhon ki raushan hon wo taswiren hain
sher-goyon ko mazamin ki tauqiren hain
kahne ko ek zamin saikDon jagiren hain
yar se hoti hai gustaKH jo hoti ho so ho
zulfen hathon mein hain ya panw mein zanjiren hain
koi aadab-e-mohabbat ko bhala kya jae
zillaten jitni hain aashiq ki wo tauqiren hain
karun tauba jo ho paida bun-e-har-mu se zaban
jitne hain mu-e-badan utni hi taqsiren hain
wo bhawen mar utarenge kisi din mujh ko
jin ke qabze mein qaza hai ye wo shamshiren hain
qaul-e-haq par hue kab muttafiq ahl-e-duniya
ek quran hai jis ki kai tafsiren hain
kya yaqin aae mujhe haal-e-bahisht-o-dozaKH
main hun jis KHwab mein sab us ki ye tabiren hain
sat dozaKH kiye KHalq us ne karimi us ki
ek hafte ki hamare liye taziren hain
chaar inTen huin kis ke na mahall-e-naKHwat
maqbare aaj salatin ki tamiren hain
ek zarre ko jo qismat se na jumbish ho na ho
KHak uDane ko to aandhi meri tadbiren hain
koi KHush-KHwan ho qasid to bahut behtar hai
mere name mein tarane ki bhi tahriren hain
haDDiyan jism mein jalti hain palite ki tarah
ishq ke ism-e-jalali ki ye tasiren hain
dil ko har-waqt jo rahti hai buton ki tasbih
apne nalon ko samajhta hun ki takbiren hain
'bahr' arzhang-e-jahan ka na tamashai ho
jin ka saya hai bala us mein wo taswiren hain
Ghazal
KHub-ruyan-e-jahan chand ki tanwiren hain
Imdad Ali Bahr