اردو हिंदी
KHub-ruyon se yariyan na gain | Shaahi Shayari
KHub-ruyon se yariyan na gain

Ghazal

KHub-ruyon se yariyan na gain

Hasrat Mohani

;

KHub-ruyon se yariyan na gain
dil ki be-iKHtiyariyan na gain

aql-e-sabr-ashna se kuchh na hua
shauq ki be-qarariyan na gain

din ki sahra-nawardiyan na chhuTin
shab ki aKHtar-shumariyan na gain

hosh yan sadd-e-rah-e-ilm raha
aql ki harza-kariyan na gain

the jo ham-rang-e-naz un ke sitam
dil ki ummidwariyan na gain

husn jab tak raha nazzara-farosh
sabr ki sharmsariyan na gain

tarz-e-'momin' mein marhaba 'hasrat'
teri rangin-nigariyan na gain