KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai
thoDa jhuTa main bhi Thahra thoDa jhuTa tu bhi hai
jang ana ki haar hi jaana behtar hai ab laDne se
main bhi hun TuTa TuTa sa bikhra bikhra tu bhi hai
jaane kis ne Dar boya hai hum donon ki rahon mein
main bhi hun kuchh KHauf-zada sa sahma sahma tu bhi hai
ek muddat se fasla qaem sirf hamare bich hi kyun
sab se milta rahta hun main sab se milta tu bhi hai
apne apne dil ke andar simTe hue hain hum donon
gum-sum gum-sum main bhi bahut hun khoya khoya tu bhi hai
hum donon tajdid-e-rifaqat kar lete to achchha tha
dekh akela main hi nahin hun tanha tanha tu bhi hai
had se 'faragh' aage ja nikle donon ana ki rahon par
sarf-e-pasheman main hi nahin hun kuchh sharminda tu bhi hai
Ghazal
KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai
Faragh Rohvi