KHub naseh ki nasihat ka natija nikla
hum ne ashkon ko sambhaala to kaleja nikla
tere rindon ko jalati rahi sahraon ki dhup
kitna be-faiz teri zulfon ka saya nikla
id ka chand jo dekha to tamanna lipTi
un se taqrib-e-mulaqat ka rishta nikla
haif ki phul hain muhtaj-e-nasim-o-shabnam
marhaba chir ke patthar ko jo sabza nikla
aahaT aahaT pe guman guzre hai wo aa pahunche
dil-e-nadan ke bahalne ka tariqa nikla
daman-e-dost ne boson se nawaza 'rahmat'
mujh se behtar mere ashkon ka nasiba nikla
Ghazal
KHub naseh ki nasihat ka natija nikla
Rahmat Qarni