اردو हिंदी
KHub honi hai ab is shahr mein ruswai meri | Shaahi Shayari
KHub honi hai ab is shahr mein ruswai meri

Ghazal

KHub honi hai ab is shahr mein ruswai meri

Farhat Ehsas

;

KHub honi hai ab is shahr mein ruswai meri
beach bazar ubhar aai hai tanhai meri

ek bar us ne bulaya tha to masruf tha main
jite-ji phir kabhi bari hi nahin aai meri

apni tamir ke malbe se paTa jata hun
aur payab hui jati hai tanhai meri

KHana-e-wasl aza-KHana-e-hasti ki jahan
gunjti rahti hai bas dard ki shahnai meri

dasht-e-KHamoshi mein chalti hai bahut tez hawa
dur tak uDti hui gard hai goyai meri

zindagi sal chha-mahi tu mila kar aa kar
ghairiyat itni bhala kis liye man-jai meri

munjamid ho gaya sara mutharrik mera
mere pani pe jami baiThi hai ab kai meri

'farhat-ehsas' taghazzul se sharabor hua
raat aaghosh mein kuchh yun ye ghazal aai meri