KHub hai ishwa ye us ka ye ishaarat us ki
mere hathon ki lakiren hain ibarat us ki
wasl ki raat ke ek aaKHiri moti ki tarah
KHwab banti hui aankhon mein bashaarat us ki
us ke daman pe nahin paDte lahu ke dhabbe
tegh uThae wo to phir dekho mahaarat us ki
KHam ashiya ki tarah bikhra paDa hai sar-e-rah
zer-e-tamir tamasha hai imarat us ki
na-shanasi ke KHarabe mein safar hai us ka
zinda rahne ki tamanna hai jasarat us ki
dagh tashkik ke dho deti hai peshani se
moajaza banti hai jab 'ramz' tahaarat us ki
Ghazal
KHub hai ishwa ye us ka ye ishaarat uski
Mohammad Ahmad Ramz