KHub hai aashiq sun mil rahna sajan
laD us ka har ghaDi sahna sajan
apni KHatir sun diya mujh kun bisar
kya yahi tha tujh seti kahna sajan
rasti se tujh kun karna hai nibah
hath jo pakDa mera dahna sajan
mat pahan zewar apas singar kun
mehr-o-mah kun aib hai gahna sajan
dil ne hushyari ki kapDe phaD kar
KHilat-e-diwangi pahna sajan
aashiqan ka kaam hai jyun KHar-o-KHas
shauq ke dariyaon mein bahna sajan
'mubtala' kun kho ki pachtawega tun
hai mujhe wajib ita kahna sajan

Ghazal
KHub hai aashiq sun mil rahna sajan
Obaidullah Khan Mubtala