اردو हिंदी
KHub bujha hun main us yar kun kui kya jaane | Shaahi Shayari
KHub bujha hun main us yar kun kui kya jaane

Ghazal

KHub bujha hun main us yar kun kui kya jaane

Siraj Aurangabadi

;

KHub bujha hun main us yar kun kui kya jaane
is tarah ke but-e-ayyar kun kui kya jaane

le gain hat sen dil us ki jhuki hui aankhen
hila-e-mardum-e-bimar kun kui kya jaane

main na bujha tha teri zulf-e-girah-dar ke pech
sach ki kaifiyat-e-makkar kun kui kya jaane

sharh-e-be-tabi-e-dil nin hai qalam ki taqat
tapish-e-shauq ke tumar kun kui kya jaane

sharbat-e-KHun-e-jigar ka maza aashiq pawe
lazzat-e-ishq-e-jigar-KHar kun kui kya jaane

mashrab-e-ishq mein hain shaiKH-o-barhaman yaksan
rishta-e-subha-o-zunnar kun kui kya jaane

namak-e-zaKHm hua marham-e-galinosi
KHalish-e-sina-e-afgar kun kui kya jaane

tauq-o-zanjir nahin jis pe kise rahm aawe
dam-e-ulfat ke giraftar kun kui kya jaane

jab talak talKHi-e-shoraba-e-gham chaakha nin
tab talak lazzat-e-didar kun kui kya jaane

qadr us nafa-e-tatar ki mujh sen puchho
yar ki zulf ki mahkar kun kui kya jaane

main kaha zaKHmi-e-gham hun to diya us ne jawab
ai 'siraj' aise chhupe war kun kui kya jaane