KHushki pe rahungi kabhi pani mein rahungi
ta umr isi naql-e-makani mein rahungi
main jism nahin husn hun ai chashm-e-abad-tab
mar kar bhi mohabbat ki kahani mein rahungi
tabinda rahenge meri aankhon ke kinare
ashkon mein Dhali hun ki rawani mein rahungi
ajdad ki qurbat se uThaya gaya mujh ko
goya main buzurgon ki nishani mein rahungi
sheron hi pe mauquf nahin meri haqiqat
alfaz se bhagungi maani mein rahungi
ai shaer-e-dil-soz mere dukh ko bayan kar
ta hashr teri shoala-bayani mein rahungi
ab guDiya paTolon se ilaqa nahin 'mahin'
bachpan se nikal aai jawani mein rahungi

Ghazal
KHushki pe rahungi kabhi pani mein rahungi
Rasheeda Maheen Malik