KHushk roTi toDni hai sard pani chahiye
kya kisi girje ki kunDi khaTkhaTani chahiye
ai samaat us faza mein aaj bhi maujud hai
han nawa-e-naghma-e-kun tujh ko aani chahiye
kahina hum se riwayat ka mukammal matn sun
batn mein jalti hui sham-e-maani chahiye
sabiqa naqshe pe taza saltanat ijad ho
aasman nila banana ghas dhani chahiye
gum-shuda suraj ko rota hai mera yaum-e-saped
surmai shab ko charagh-e-an-jahani chahiye
husn ke gare mein aab-e-ishq ki chhinTen mila
champai rangat mein aatish sansanani chahiye
jism ki gosha-nashini aur kitne rose hai
banda-e-rabb-e-ali ko la-makani chahiye
Ghazal
KHushk roTi toDni hai sard pani chahiye
Ahmad Jahangeer