KHushk honTon ki ana mail-e-saghar kyun hai
tu samundar hai to ye pyas ka manzar kyun hai
ye fusun-kari-e-ehsas hai ya aks-e-hayat
aaina-KHane ka har aaina shashdar kyun hai
qurb-e-sahil bhi Thaharti nahin ab kashti-e-jaan
itna barham mere andar ka samundar kyun hai
shoala shoala hai har ek shaKH meri palkon ki
phir bhi aankhon mein hasin KHwab ka paikar kyun hai
jumbish-e-lab ki bhi jurat nahin hasil hai agar
phir mere dil mein ye jazbaat ka lashkar kyun hai
kya koi lamha-e-jaan-soz hai aane wala
lau diye ki mere is raat fuzun-tar kyun hai
Dhang aaya na tujhe bhes badalne ka 'said'
baat jo dil mein hai tere wahi lab par kyun hai
Ghazal
KHushk honTon ki ana mail-e-saghar kyun hai
Saeed Arifi